
mujhy sun ky uss ki sab batain faqat itna hi kehna hay
khafa hona, mana lena ye sadiyun se riwayt hay
mohabat ki elamat hay gily shikway karo mujh sey
tumhain jana ijazat hay mgr ik bat meri yad rakhna tm
kabi aisa b hota hay hawain rukh badalti hain
khazain laot aaty hain khatain ho hi jati hain
khfa hona b mumkin hay khata hona b mumkin hay
mgr hath se daman kabi choota nahin krty
hamesha yad rakhna tum
taalluq roth jany se kabi tota nahin karty
No comments:
Post a Comment